Showing posts with label Sad shyari. Show all posts
Showing posts with label Sad shyari. Show all posts

Thursday, March 12, 2009

Pyar nahin karna tha humse ....


Pyar nahin karna tha humse,

Dillagi to na ki hoti.

Ae bewafa beech samundar mein lakar mara,

Ek kashti to di hoti.

Yahi wafa ka sila hai ....


Yahi wafa ka sila hai to koi baat nahin.

Yeh dard tumne diya hai to koi baat nahin.

Yeh fikar hai ke kahin tum bhi na saath chhod chalo,

Jahan ne chhod diya hai to koi baat nahin.

Tumhi ne Ayina-e-Dil mera banaya tha,

Tumhi ne tor diya hai to koi baat nahin.

Kiski majaal kahe koi mujh ko deewana,

Agar ye tumne kaha hai to koi baat nahin.

Sunday, March 8, 2009

Aap ke khayalon se..........


Aap ke khayalon se fursat nahi milti,

Hame ek pal ki rahat nahi milti,

Mil to jati hai saans kuchh,

Bas apki ek jhalak nahi milti.

Jawani ko zindagi ka nikhar kehte hain ...


Jawani ko zindagi ka nikhar kehte hain.

Patjhad ko chaman ka mazdhar kehte hain.

Ajeeb chalan hai duniya ka yaaro,

Ek dhokha hai jise sab pyaar kehte hain.

Bewafa sanam ....


Bewafa sanam se to cigarette achi hai.

Dil jalati hai par hothon se to lagti hai.

Dil sawal karta hai ....


Manzilein bhi uski thi,

Rasta bhi uska tha.

Ek main akela tha,

Kaafilaa bhi uska tha.

Saath saath chalne ki soch bhi uski thi,

Phir rasta badalne ka faisla bhi uska tha.

Aaj kyun akela hoon,

Dil sawal karta hai.

Log to usike the,

Par kya khuda bhi uska tha.

Har raasta bhi uska tha,

Har fasla bhi us ka tha. Log bhi usike the,

Shayad Khuda bhi uska tha. Aur kya karon bayan,

Apni barbadiyon ka aalam. Jo ab sawal karta hai,

Yeh dil mera bhi uska tha.

Shama jalti hai parwane chale aate hain ....


Shama jalti hai parwane chale aate hain.

Sar ke bal ishq ke diwane chale aate hain.

Ab to aa jao meri jaan ke janazaa uthne ko hai,

Log to gairon ko bhi dafnane chale aate hain.

dil ki mehfil main ....


Hum dil ki mehfil main behte the phir ek baar dil jalaya hai.

Jispe hamne apna sab kuch luta hai,

Usi ne hamare pyaar ko jhutlayya hai.

Tuesday, March 3, 2009

Aarzu honi chahiye kisiko yad karne ki ....


Aarzu honi chahiye kisiko yad karne ki,

Lamhe to apne aap mil jate hain.

Waqt hona chaahiya kisike sath guzarne ke liye,

Bahane to apne aap ban jate hain.

Ae Dil-e-Nadan tujhe hua kya hai ....


Ae Dil-e-Nadan tujhe hua kya hai,

Aakhir is dard ki dawa kya hai,

Hum ko unse hai wafa ki ummed,

Jo nahi jaante ki wafa kya hai.

Har Khushi kam hai ....


Har Khushi kam hai,

Tera Ghum Bholane Ke Liye,

Ek Tera Hi Ghum Bus Hai,

Zindagi Bher Rulane Ke Liye.

Yeh raate itni tanha .....


Yeh raate itni tanha kyon hoti hai,

Sabko apne kismat se shikayat kyo hoti hai,

Yeh kismat bhi ajeeb khel khelti hai,

Jise hum paa nahi sakte usi se hume muhabbat kyon hoti hai.

Bikhre ashkon ke moti ....


Bikhre ashkon ke moti hum piro na sake,

Uski yaad me saari raat so na sake,

Beh na jaaye aansuon me tasvir uski,

Bus yahi soch kar hum ro na sake.

Khushi mile to ....


Khushi mile to baat lenge hum,

Gam ke andhere ko bator lenge hum,

Tum na karna apni aankhein nam,

Tere badle ro lenge hum.

Mit gaye hain sab zakham ....


Mit gaye hain sab zakham,

Bas nishaan baaki reh gaya,

Saza puri ho gayi,

Karna gunaah baaki reh gaya.

Bichde huye saathi ....


Bichde huye saathi ro-ro kar na saza de,

Dua karna Khuda se phir se mila de,

Bojh judai ka uthaya nahi jaata,

Dushwar hoga jeena markar kaise bhula de.

Tum bin zindagi ....


Tum bin zindagi suni si lagti hai,

Har pal adhuri si, ehsaan lagti hai,

Ab to in saanson ko apni saanson se jod de,

Warna zindagi kuchh pal ki mehmaan lagti hai.

Bahut chaha magar unhe bhula na sake ....


Bahut chaha magar unhe bhula na sake,

Khayalon me kisi aur ko la na sake,

Kisi ko dekh ke aansu to poch liya,

Par kisi ko dekh ke muskura na sake.

Lamha lamha karke zindagi ....


Lamha lamha karke zindagi banayi,

Zindagi mohabbat me simat aayi,

Mohabbat thi to tanhai na thi,

Warna kaise door hoti yeh tanhai.

Ilzam ....


Ilzam lagane walon ne ilzam lagaye,

Teri saugat samjhkar humne seene se lagaye.