Showing posts with label Urdu Shayari. Show all posts
Showing posts with label Urdu Shayari. Show all posts

Saturday, April 4, 2009

Badi nazuk hai manzil-e-mohabbat ka safar.......


Badi nazuk hai manzil-e-mohabbat ka safar hai.

Ahista se ae dil mohabbat ka safar hai.

Koi sun le na yeh kissa bahut dar lagata hai,

Magar darne se kya haasil mohabbat ka safar hai.

Batana bhi nahin aasaan chupana bhi khatin hai,

Khudaya kis kadar mushkil mohabbat ka safar hai.

Ujaale dil ke fihale hain chale aao na jaanam,

Bahut hi pyaar ke kaabil mohabbat ka safar hai.

Thursday, March 12, 2009

Yahi wafa ka sila hai ....


Yahi wafa ka sila hai to koi baat nahin.

Yeh dard tumne diya hai to koi baat nahin.

Yeh fikar hai ke kahin tum bhi na saath chhod chalo,

Jahan ne chhod diya hai to koi baat nahin.

Tumhi ne Ayina-e-Dil mera banaya tha,

Tumhi ne tor diya hai to koi baat nahin.

Kiski majaal kahe koi mujh ko deewana,

Agar ye tumne kaha hai to koi baat nahin.

Ae mere hamnasheen chal kahin aur chal ....


Ae mere hamnasheen chal kahin aur chal.

Is chaman mein ab apna guzara nahin.

Baat hoti gulon tak to she lete hum,

Ab tau katon pe bhi haq hamara nahin.

Jab gulistan ko khoon ki zarurat pari,

Sabse pehle hamari hi gardan kati.

Phir bhi kehte hain humse ye ehl-e-chaman,

Yeh hamara chaman hai tumhara nahin.

Aaj aaye ho aur kal chale jaoge,

Yeh muhabbat ko meri gawara nahin.

Umar bhar ka sahara bano to bano,

Chaar din ka sahara sahara nahin.

Sunday, March 8, 2009

Aap ke khayalon se..........


Aap ke khayalon se fursat nahi milti,

Hame ek pal ki rahat nahi milti,

Mil to jati hai saans kuchh,

Bas apki ek jhalak nahi milti.

Kisi fakir ka kabhi aitbar.........


Kisi
fakir ka kabhi aitbar mat karna,

Dosti ki hadon ko kabhi paar mat karna.

Kho doge use hamesha ke liye,

Jo achha lage use kabhi pyar mat karna.

Sar jhukaogey.........


Sar jhukaogey to pathar bhi dewta hojayega,

Itna na chaho ussay wo bewafa hojayega.

Hum bhi darya hain hamain apna hunar maloom hai,

Jis taraf chal pare raasta hojayega.

Chehre pe banawat ka gussa ....


Chehre pe banawat ka gussa,

Aankhon se chalakta pyaar bhi hai.

Is shauk-e-ada ko kya kahiye,

Inkaar bhi hai ikraar bhi hai.

Saturday, March 7, 2009

Jab tanhai mein aapki yaad...........


Jab tanhai mein aapki yaad aati hai,

Hontho pe ek hi fariyad aati hai,

Khuda aapko har khushi de,

Kyonki aaj bhi hamari har khushi aapke baad aati hai.

Aur koi gam nahi........


Aur koi gam nahi ek teri judai ke siva,

Mere hisse me kya aaya tanhai ke siva,

Yun to milan ki raatein mili beshumaar,

Pyar me sab kuchh mila shehnai ke siva.

Tuesday, March 3, 2009

Gham se bhara.......


Gham se bhara fasana hai,

Aaj ro ro tujhe sonana hai,

Teri yaadon ka ik samandar hai,

Doob k humko paar jana hai.

Gagan ke tootey taron........


Gagan ke tootey taron ka haal kisne pucha hai,

Jahan mein deevano ka haal kisne pucha hai,

Sabhi ne phulo ko chaha hai,

Sulagti rakh pe deevano ka haal kisne pucha hai.

Azmaish pyar main........


Azmaish pyar main zaruri hoti hai.

Na mil paana kisi ki majboori hoti hai.

Yaad door se dost ko kar to sakte hain,

Lekin dil ki hasarat to mulakat se hoti puri hai.

Teri har berukhi........


Teri har berukhi ko bhi rutba diya humne,

Mohabbat ka har karz ada kiya humne,

Matt soch humne tujhe bhula diya,

Khuda se pehle tera hi sajda kiya humne.

Pee hai sharab..........


Pee hai sharab har gali har mehkhane se,

Ek dosti si ho gai hai sharab ke paimaane se,

Guzre hain hum kuch aise mukam se,

Ki nafarat si ho gai mohabbat ke naam se.

Aankhon pe ghataon ke...........


Aankhon pe ghataon ke pehre hain,

Zakham jigar ke gehre hain,

Faryad karein to kis se karein,

Dunya wale to behre hain.

Na jane kyun hame........


Na jane kyun hame aansu bahana nahi ata.

Na jane kyu hal-e-dil batana nahi ata.

Kyun saathi bichhad jate hain hamesha hamse,

Shayad hame hi saath nibana nahi ata.

Woh chand hai........


Woh chand hai magar aap se pyara to nahi,

Parwane ka shamaa ke bin guzara to nahi.

Mere dil ne suni hai mitthi si awaaz kahi,

Aap ne hume pukara to nahi.

Zikar unka hi.........


Zikar unka hi aata hai mere fasane me,

Jinko jaan se zyada chaha humne zamane me.

Tanhai me unki hi yaad ka sahara mila,

Nakamyab na hue jinhe hum bhulane me.

Sunday, March 1, 2009

Abke to chahatoon ka........


Abke to chahatoon ka yeh mausam bura na tha,

Par usse pahle wo bhi to uljha hua na tha.

Kaisa aajaab tha ke bicharne ki rasam main,

Jo murr ke dekhta tha wo pathar hua na tha.

Kab khayal unka.......


Kab khayal unka dil me nahi hota,

Kab dard dil se juda nahi hota,

Kuchh to majburiyan rahi hongi unki bhi,

Bhala yuhi kahi koi bewafa nahi hota.