Showing posts with label Best Shayari. Show all posts
Showing posts with label Best Shayari. Show all posts

Thursday, March 12, 2009

Parakhna mat parakhne main ....


Parakhna mat parakhne main koi apna nahin rehta.

Kisi
bhi ayine mein der tak chehra nahin rehta.

Mohabbat ek khushbu hai humesha saath chalti hai,

Koi insaan tanhai mein bhi tanha nahin rehta.

Har aahat ehsaas hamara dilayegi ....


Har aahat ehsaas hamara dilayegi.

Har hawa kissa hamara sunayegi.

Hum itani yaadein bhar denge aake dil me,

Na chahate hue bhi aapako yaad hamari aayegi.

Ae mere hamnasheen chal kahin aur chal ....


Ae mere hamnasheen chal kahin aur chal.

Is chaman mein ab apna guzara nahin.

Baat hoti gulon tak to she lete hum,

Ab tau katon pe bhi haq hamara nahin.

Jab gulistan ko khoon ki zarurat pari,

Sabse pehle hamari hi gardan kati.

Phir bhi kehte hain humse ye ehl-e-chaman,

Yeh hamara chaman hai tumhara nahin.

Aaj aaye ho aur kal chale jaoge,

Yeh muhabbat ko meri gawara nahin.

Umar bhar ka sahara bano to bano,

Chaar din ka sahara sahara nahin.

Sunday, March 8, 2009

Aap ke khayalon se..........


Aap ke khayalon se fursat nahi milti,

Hame ek pal ki rahat nahi milti,

Mil to jati hai saans kuchh,

Bas apki ek jhalak nahi milti.

Kisi fakir ka kabhi aitbar.........


Kisi
fakir ka kabhi aitbar mat karna,

Dosti ki hadon ko kabhi paar mat karna.

Kho doge use hamesha ke liye,

Jo achha lage use kabhi pyar mat karna.

Sar jhukaogey.........


Sar jhukaogey to pathar bhi dewta hojayega,

Itna na chaho ussay wo bewafa hojayega.

Hum bhi darya hain hamain apna hunar maloom hai,

Jis taraf chal pare raasta hojayega.

Dil tor diya........


Dil tor diya chita bhi jalaa dena,

Kafan na mile dupatta uda dena,

Koi puchhe rog kya tha,

To nazar jhukakar mohabbat bata dena.

Jawani ko zindagi ka nikhar kehte hain ...


Jawani ko zindagi ka nikhar kehte hain.

Patjhad ko chaman ka mazdhar kehte hain.

Ajeeb chalan hai duniya ka yaaro,

Ek dhokha hai jise sab pyaar kehte hain.

Har raste ka mukam nahi hota ....


Har raste ka mukam nahi hota,

Dil ke rishto ka naam nahi hota,

Khoja hai aapko dil ki roshni se,

Aap jaisa Dost kisi ke liye aam nahi hota.

Ankhon ki zuban ...


Ankhon ki zuban vo samajh nahi paate.

Honth magar kuchh keh nahi paate.

Hum aapse kis tarah kahein,

Koi hai jiske bina hum reh nahi paate.

Ek raaz ....


Tumko dil mein amanat ki tarah rakha hai.

Ek raaz banakar dil main chipa rakha hai.

Hai to bahut kuch kehne ke liye per,

Itna samajh lo tumko ibadat ke liye rakha hai.

Chehre pe banawat ka gussa ....


Chehre pe banawat ka gussa,

Aankhon se chalakta pyaar bhi hai.

Is shauk-e-ada ko kya kahiye,

Inkaar bhi hai ikraar bhi hai.

Dil sawal karta hai ....


Manzilein bhi uski thi,

Rasta bhi uska tha.

Ek main akela tha,

Kaafilaa bhi uska tha.

Saath saath chalne ki soch bhi uski thi,

Phir rasta badalne ka faisla bhi uska tha.

Aaj kyun akela hoon,

Dil sawal karta hai.

Log to usike the,

Par kya khuda bhi uska tha.

Har raasta bhi uska tha,

Har fasla bhi us ka tha. Log bhi usike the,

Shayad Khuda bhi uska tha. Aur kya karon bayan,

Apni barbadiyon ka aalam. Jo ab sawal karta hai,

Yeh dil mera bhi uska tha.

Gam ko bechkar ....


Gam ko bechkar khushi khareed lenge.

Khwab bechkar zindagi khareed lenge.

Hoga imtihaan to dekhegi duniya,

Khud ko bech kar aapaki khushi khareed lenge.

Shama jalti hai parwane chale aate hain ....


Shama jalti hai parwane chale aate hain.

Sar ke bal ishq ke diwane chale aate hain.

Ab to aa jao meri jaan ke janazaa uthne ko hai,

Log to gairon ko bhi dafnane chale aate hain.

Pyar kiya nahin jata pyaar to ho jata hai ....


Pyar kiya nahin jata pyaar to ho jata hai.

Dilon ki mehfil main aksar dil kho jata hai.

Yeh to khuda ki den hai jo hum jage hain warna,

Agar sayar aap jaisa ho to aadmi jagta nahin so jata hai.

Nasha hai unki aankhon ka peene ka bahana karte hain ....


Nasha hai unki aankhon ka peene ka bahana karte hain.

Marne ki tamanna hai mujhko jeene ka bahnaa karte hain.

Chaayi hai khusi unke dil mein aur gam ka bahanaa karte hain.

Tera koi ghar hai na dar soch kar deewane mur jaate hain,

Rakhne ke liye dil mera aane ka bahanaa karte hain.

Bina humrahi ke kaun jee saka hai ........


Bina humrahi ke kaun jee saka hai.

Bina sui ke kaun kamiz see saka hai.

Zulm-e-dard to garib ko sabhi dete hain magar,

Unke dukh ko kaun pi saka hai.

Pyaar ishq dard se bhari likh daali ek shayari ....


Hamne socha ab ham bhi likhenge shayari.

Pyaar ishq dard se bhari likh daali ek shayari.

Logon ne bhi kari khub wah wah,

Lekin jis ke liye likhi thi,

Us zaalim ne phar di woh shayari.

Har baat samjhane ke liye nahi hoti ....


Har baat samjhane ke liye nahi hoti.

Zindagi hamesha paane ke liye nahi hoti.

Yaad aksar aati hai aapaki,

Par har yaad jatane ke liye nahi hoti.