Saturday, April 4, 2009

Badi nazuk hai manzil-e-mohabbat ka safar.......


Badi nazuk hai manzil-e-mohabbat ka safar hai.

Ahista se ae dil mohabbat ka safar hai.

Koi sun le na yeh kissa bahut dar lagata hai,

Magar darne se kya haasil mohabbat ka safar hai.

Batana bhi nahin aasaan chupana bhi khatin hai,

Khudaya kis kadar mushkil mohabbat ka safar hai.

Ujaale dil ke fihale hain chale aao na jaanam,

Bahut hi pyaar ke kaabil mohabbat ka safar hai.

Thursday, March 12, 2009

Pyar nahin karna tha humse ....


Pyar nahin karna tha humse,

Dillagi to na ki hoti.

Ae bewafa beech samundar mein lakar mara,

Ek kashti to di hoti.

Parakhna mat parakhne main ....


Parakhna mat parakhne main koi apna nahin rehta.

Kisi
bhi ayine mein der tak chehra nahin rehta.

Mohabbat ek khushbu hai humesha saath chalti hai,

Koi insaan tanhai mein bhi tanha nahin rehta.

Har aahat ehsaas hamara dilayegi ....


Har aahat ehsaas hamara dilayegi.

Har hawa kissa hamara sunayegi.

Hum itani yaadein bhar denge aake dil me,

Na chahate hue bhi aapako yaad hamari aayegi.

Yahi wafa ka sila hai ....


Yahi wafa ka sila hai to koi baat nahin.

Yeh dard tumne diya hai to koi baat nahin.

Yeh fikar hai ke kahin tum bhi na saath chhod chalo,

Jahan ne chhod diya hai to koi baat nahin.

Tumhi ne Ayina-e-Dil mera banaya tha,

Tumhi ne tor diya hai to koi baat nahin.

Kiski majaal kahe koi mujh ko deewana,

Agar ye tumne kaha hai to koi baat nahin.

Ae mere hamnasheen chal kahin aur chal ....


Ae mere hamnasheen chal kahin aur chal.

Is chaman mein ab apna guzara nahin.

Baat hoti gulon tak to she lete hum,

Ab tau katon pe bhi haq hamara nahin.

Jab gulistan ko khoon ki zarurat pari,

Sabse pehle hamari hi gardan kati.

Phir bhi kehte hain humse ye ehl-e-chaman,

Yeh hamara chaman hai tumhara nahin.

Aaj aaye ho aur kal chale jaoge,

Yeh muhabbat ko meri gawara nahin.

Umar bhar ka sahara bano to bano,

Chaar din ka sahara sahara nahin.

Ik ik pal sadiyon sa lagne laga hai ....


Ik ik pal sadiyon sa lagne laga hai...

Yeh kaisa nasha hai ke dil behkne laga hai.

Kuch aur nahin ise pyar kehte hain yaaro,

Jis ka jadoo nas-nas mein samane laga hai.

Sunday, March 8, 2009

Aap ke khayalon se..........


Aap ke khayalon se fursat nahi milti,

Hame ek pal ki rahat nahi milti,

Mil to jati hai saans kuchh,

Bas apki ek jhalak nahi milti.

Yaadon mein hum........


Yaadon mein hum rahien ye ehsaas rakhna,

Nazaron se dur pal dil ke paas rakhna,

Ye nahi kahte ke sath raho,

Dur sahi par humien yaad rakhna.

Kisi fakir ka kabhi aitbar.........


Kisi
fakir ka kabhi aitbar mat karna,

Dosti ki hadon ko kabhi paar mat karna.

Kho doge use hamesha ke liye,

Jo achha lage use kabhi pyar mat karna.

Sar jhukaogey.........


Sar jhukaogey to pathar bhi dewta hojayega,

Itna na chaho ussay wo bewafa hojayega.

Hum bhi darya hain hamain apna hunar maloom hai,

Jis taraf chal pare raasta hojayega.

Dil tor diya........


Dil tor diya chita bhi jalaa dena,

Kafan na mile dupatta uda dena,

Koi puchhe rog kya tha,

To nazar jhukakar mohabbat bata dena.

Sabko dost banane ki adat..............


Sabko dost banane ki adat hai hame,

Apani alag pehchan banane ki adat hai hame,

Kitna bhi gehra zakaham de koi,

Utna hi zayada muskarane ki adat hai hume.

Teri dosti hum........


Teri dosti hum is tarah nibhayenge,

Tum roz khafa hona hum roz manayenge,

Par maan jana manane se,

Warna yeh bheegi palkein le ke kaha jayenge.

Jawani ko zindagi ka nikhar kehte hain ...


Jawani ko zindagi ka nikhar kehte hain.

Patjhad ko chaman ka mazdhar kehte hain.

Ajeeb chalan hai duniya ka yaaro,

Ek dhokha hai jise sab pyaar kehte hain.

Hui hum se ye nadani ...


Hui hum se ye nadani,

Ke teri mehfil mein aa baithe.

Ho kay zameen ki khak,

Aasman se dil laga baithe.

Har raste ka mukam nahi hota ....


Har raste ka mukam nahi hota,

Dil ke rishto ka naam nahi hota,

Khoja hai aapko dil ki roshni se,

Aap jaisa Dost kisi ke liye aam nahi hota.

Bewafa sanam ....


Bewafa sanam se to cigarette achi hai.

Dil jalati hai par hothon se to lagti hai.

Ankhon ki zuban ...


Ankhon ki zuban vo samajh nahi paate.

Honth magar kuchh keh nahi paate.

Hum aapse kis tarah kahein,

Koi hai jiske bina hum reh nahi paate.

Ek raaz ....


Tumko dil mein amanat ki tarah rakha hai.

Ek raaz banakar dil main chipa rakha hai.

Hai to bahut kuch kehne ke liye per,

Itna samajh lo tumko ibadat ke liye rakha hai.