Showing posts with label Maut Shayari. Show all posts
Showing posts with label Maut Shayari. Show all posts

Thursday, March 12, 2009

Pyar nahin karna tha humse ....


Pyar nahin karna tha humse,

Dillagi to na ki hoti.

Ae bewafa beech samundar mein lakar mara,

Ek kashti to di hoti.

Sunday, March 8, 2009

Dil tor diya........


Dil tor diya chita bhi jalaa dena,

Kafan na mile dupatta uda dena,

Koi puchhe rog kya tha,

To nazar jhukakar mohabbat bata dena.

Shama jalti hai parwane chale aate hain ....


Shama jalti hai parwane chale aate hain.

Sar ke bal ishq ke diwane chale aate hain.

Ab to aa jao meri jaan ke janazaa uthne ko hai,

Log to gairon ko bhi dafnane chale aate hain.

Nasha hai unki aankhon ka peene ka bahana karte hain ....


Nasha hai unki aankhon ka peene ka bahana karte hain.

Marne ki tamanna hai mujhko jeene ka bahnaa karte hain.

Chaayi hai khusi unke dil mein aur gam ka bahanaa karte hain.

Tera koi ghar hai na dar soch kar deewane mur jaate hain,

Rakhne ke liye dil mera aane ka bahanaa karte hain.

Bichadne ka khayaal seh nahi paata ....


Bichadne ka khayaal seh nahi paata.

Dil ki baat keh nahi paata.

Hai zindagi mein is kadar majburiya,

Maut bhi nahi aati zinda bhi reh nahi paata.

Tuesday, March 3, 2009

Naam na lo..........


Naam na lo us mohabbat ka,

Mohabbat hum bhi kar chuke hain,

Duniya zinda samajhti hai,

Par yaaro hum to kabke mar chuke hain.

Ek pyar karne wale ne.........


Ek pyar karne wale ne,

Duniya ko sochne par majbur kar rakha,

Bana ke TAJMAHAL usne,

Mohabbat ka naam amar kar rakha.

Kabhi zarurat pade ....


Kabhi zarurat pade to sabse pehle hume awaaz dena,

Agar koi shaq ho to aazma lena.

Zindagi tumhare liye chod denge,

Maut hamare liye chod dena.

Tujh se bicharne ka.......


Tujh se bicharne ka khayal seh nahi paata.

Phir bhi dil ki baat keh nahi paata.

Kyun hain aakhir zindagi mein is qadr majbooriaan,

Maut bhi nahi aati,

Zinda bhi reh nahi paata.

Sunday, March 1, 2009

Mohabbat ....


Mohabbat mujhe thi ussi se sanam,

Yadon me uski tadapta raha,

Maut bhi na rok sahi meri chahat ko,

Kabr me bhi ye dil dhadhakta raha.

Saturday, April 7, 2007

Kaun khushi se marta hai....


Shaam dhale har panchhi ko ghar jaana padta hai.


Kaun khushi se marta hai, mar jaana padta hai.


Humse suno humne suni hai sannate ki cheekhein.


Sannata jab bolta hai to dar jaana padta hai.

Friday, March 23, 2007

Waqt-e-rukhsat...


Waqt-e-rukhsat gila n shikwa kiya karte hain.


Aakhri waqt to mahobbat se mila karte hain.

Saturday, March 17, 2007

Marne ke baad....


Marne ke baad sta rha hai koi.


Meri rooh ko tadpa rha hai koi.


Ae khuda thodi si zindagi aur dede,


Meri arthi ke saath udaas jaa rha hai koi.

aakhri mulakat ...


Na jaane kaun si baat aakhri ho.


Na jaane kaun si raat aakhri ho.


Milte julte raha karo aap bhi,


Na jaane kaun si mulakat aakhri ho.

Wednesday, January 10, 2007

Aapko bhul jayein....


Aapko bhul jayein namumkin si baat hai.


Aapko yakeen nahi yeh aur baat hai.


Jab tak rahengi saansein tab tak rahoge yaad.


Yeh saansein hi toot jayein to aur baat hai.