Showing posts with label Safar Shayari. Show all posts
Showing posts with label Safar Shayari. Show all posts

Saturday, April 4, 2009

Badi nazuk hai manzil-e-mohabbat ka safar.......


Badi nazuk hai manzil-e-mohabbat ka safar hai.

Ahista se ae dil mohabbat ka safar hai.

Koi sun le na yeh kissa bahut dar lagata hai,

Magar darne se kya haasil mohabbat ka safar hai.

Batana bhi nahin aasaan chupana bhi khatin hai,

Khudaya kis kadar mushkil mohabbat ka safar hai.

Ujaale dil ke fihale hain chale aao na jaanam,

Bahut hi pyaar ke kaabil mohabbat ka safar hai.

Sunday, March 8, 2009

Sar jhukaogey.........


Sar jhukaogey to pathar bhi dewta hojayega,

Itna na chaho ussay wo bewafa hojayega.

Hum bhi darya hain hamain apna hunar maloom hai,

Jis taraf chal pare raasta hojayega.

Dil sawal karta hai ....


Manzilein bhi uski thi,

Rasta bhi uska tha.

Ek main akela tha,

Kaafilaa bhi uska tha.

Saath saath chalne ki soch bhi uski thi,

Phir rasta badalne ka faisla bhi uska tha.

Aaj kyun akela hoon,

Dil sawal karta hai.

Log to usike the,

Par kya khuda bhi uska tha.

Har raasta bhi uska tha,

Har fasla bhi us ka tha. Log bhi usike the,

Shayad Khuda bhi uska tha. Aur kya karon bayan,

Apni barbadiyon ka aalam. Jo ab sawal karta hai,

Yeh dil mera bhi uska tha.

Sunday, January 21, 2007

Zindagi ki raahon mein....


Zindagi ki raahon mein insaan badal jata hai.


Waqt ki aandhi mein tufaan badal jata hai.


Sochti hun tumhein pareshan na karu,


Lekin baad mein iraada badal jata hai.