Showing posts with label Dua Shayari. Show all posts
Showing posts with label Dua Shayari. Show all posts

Sunday, March 8, 2009

Ek raaz ....


Tumko dil mein amanat ki tarah rakha hai.

Ek raaz banakar dil main chipa rakha hai.

Hai to bahut kuch kehne ke liye per,

Itna samajh lo tumko ibadat ke liye rakha hai.

Saturday, March 7, 2009

Jab tanhai mein aapki yaad...........


Jab tanhai mein aapki yaad aati hai,

Hontho pe ek hi fariyad aati hai,

Khuda aapko har khushi de,

Kyonki aaj bhi hamari har khushi aapke baad aati hai.

Kis dil se unki wafa........


Kis dil se unki wafa mangun,

Kis pal se unse milne ki taareekh mangun,

Mujhe to dar hai unhe kho dene ka,

Kis Khuda se unko paane ka naseeb mangun.

Tuesday, March 3, 2009

Bevjah kisi se.........


Bevjah kisi se pyar ka izhaar nahi hota,

Milta hai jo saste mein vo pyaar nahi hota.

Maine to mahobbat mein guzare hain kai din,

Har roz magar husn ka deedar nahi hota.

Milta hai mujhse vo kabhi ajnabi ki tarah,

Aisa bhi kisi ka koi dildaar nahi hota,

Jo bhi mila hai ishq mein niyamat unhin ki hai.

Kismet pe kisi ka apne ikhtiyar nahi hota.

Ek baar hi hota hai dil ko kisi se pyar,

Karne se jo hota hai vo pyar nahi hota.

Muddat guzar gai hai tere intzaar mein,

Ab aa mere mehbub tera intzaar nahi hota.

Maayusiyon ki dhool se........


Maayusiyon ki dhool se har naksh hai dhundhala tera.

Maine kabhi ae zindagi dekha nahin chehra tera.

Tu bhi kabhi mehsoos kar kya hai bikharne ki tadap,

Ek roz baazi yun saje sheesha tera pathar mera.

Aaj kuch yaad..........


Aaj kuch yaad kar raha hai dil,

Kisi
ki fariyaad kar raha dil,

Chupke se keh diya dhadkano ne ke,

Tujhe hi yaad kar raha hai dil.

Hothon pe hansi.......


Hothon pe hansi aankhon mein khushi,

Gam ka kahin naam na ho.

Aap ke liye har pal le aaye itni khushi,

Jiski kabhi shaam na ho.

Aey kaash...........


Aey kaash ki aapka ghar,

Humaare ghar ke saamne hota,

Aapse baat naa sahi,

Dekhnaa to naseeb hota.

Tere hote hue......


Tere hote hue bhi tanhai mili hai,

Wafa kar ke bhi bewafai mili hai,

Jitni dua ki tumhe paane ki,

Usse zyada judai mili hai.

Koi shaam aati hai ......


Koi shaam aati hai tumari yaad lekar.

Koi shaam jaati hai tumari yaad lekar.

Humein to us shaam ka intzaar hai,

Jo aaye tumhein apne saath lekar.

Samne ho manjil.......


Samne ho manjil to raaste na modna.


Jo mann mein ho wo khwab na todna.


Har kadam pe milegi kamyabi tumhe,


Bas sitare chunne ke liye kabhi zamin na chhodna.

Tamannaon se bhri ho zindagi .....


Tamannaon se bhri ho zindagi,

Khwahishon se bhra ho aapka har pal.

Daaman bhi chhota lagne lage,

Itni khushiyan de aapko har aane wala pal.

Tamannao se bhari ho zindagi ....


Tamannao se bhari ho zindagi,

Khawhishon se bhara ho har ek pal,

Daman
bhi chota lagne lage,

Itni khushiyan de aapko aane wala kal.

Abhi to Baaz ki asali udaan baaki hai ....


Abhi to Baaz ki asali udaan baaki hai,

Abhi to aapka imtihan baaki hai,

Abhi tak to aapne jami dekhi hai,

Abhi to pura aasmaan baaki hai.

Hum to yun hi bekhudi me keh baithe ....


Hum to yun hi bekhudi me keh baithe,

Ki hume koi yaad nahi karta.

Jis ka ho tere jaisa dost,

Woh kabhi Khuda se bhi fariyaad nahi karta.

Bichde huye saathi ....


Bichde huye saathi ro-ro kar na saza de,

Dua karna Khuda se phir se mila de,

Bojh judai ka uthaya nahi jaata,

Dushwar hoga jeena markar kaise bhula de.

Aankhon pe ghataon ke...........


Aankhon pe ghataon ke pehre hain,

Zakham jigar ke gehre hain,

Faryad karein to kis se karein,

Dunya wale to behre hain.