Showing posts with label Yaad Shayari. Show all posts
Showing posts with label Yaad Shayari. Show all posts

Thursday, March 12, 2009

Har aahat ehsaas hamara dilayegi ....


Har aahat ehsaas hamara dilayegi.

Har hawa kissa hamara sunayegi.

Hum itani yaadein bhar denge aake dil me,

Na chahate hue bhi aapako yaad hamari aayegi.

Sunday, March 8, 2009

Yaadon mein hum........


Yaadon mein hum rahien ye ehsaas rakhna,

Nazaron se dur pal dil ke paas rakhna,

Ye nahi kahte ke sath raho,

Dur sahi par humien yaad rakhna.

Har baat samjhane ke liye nahi hoti ....


Har baat samjhane ke liye nahi hoti.

Zindagi hamesha paane ke liye nahi hoti.

Yaad aksar aati hai aapaki,

Par har yaad jatane ke liye nahi hoti.

Saturday, March 7, 2009

Log samajhte hain..........


Log samajhte hain humne unhe bhula rakha hai,

Woh kya jaane dil me chhupa rakha hai,

Dekhe na koi unhe meri aankhon mein.

Isliye palkon ko gira rakha hai.

Jab tanhai mein aapki yaad...........


Jab tanhai mein aapki yaad aati hai,

Hontho pe ek hi fariyad aati hai,

Khuda aapko har khushi de,

Kyonki aaj bhi hamari har khushi aapke baad aati hai.

Dil se unhe........


Dil se unhe na kabhi bhula paye hum,

Kaise karte ye gunaah,

Jab khat bhi kabhi na koi jala paye hum.

Sans lene se bhi.......


Sans lene se bhi teri yaad aati hai,

Na lene se meri jaan jati hai,

Kisise kahun ki sanns se main zinda hon,

Jabki sans se pehle teri yaad hai.

Wednesday, March 4, 2009

Waqt guzarta raha...........


Waqt guzarta raha par saanse thami thi.

Muskara rahe the hum par aankhon mein nami thi.

Saath hamare yeh jahan tha,

Par jane kyon aapki kami thi.

Karoge yaad ek din..........


Karoge yaad ek din tum dosti ke zamane ko,

Chale jayenge jis din hum kabhi na wapas aane ko.

Chedega mehfil me zikar hamara koi,

To chale jaoge tum tanhai mein aansoo bahane ko.

Do pal ki zindagi........


Do pal ki zindagi yunhi beet jayegi.

Kaali raat ke baad nayi subah ayegi.

Agar doston ki yaad satayegi to kasam se,

Aapki yaad sabse pehle aayegi.

Apane hothon par.......


Apane hothon par sajana chahta hoon,

Dosti se pyar tak aana chahta hoon.

Thak chuka tumhein yaad karte-karte,

Ab tumhe main yaad aana chahta hoon.

Bahut yaad kiya......


Bahut yaad kiya humane tujhko.

Bahut miss kiya hamane tujhko.

Chaha ke tum yahan hote,

Kam se kam mere kuchh dard to kam hote.

Tuesday, March 3, 2009

Bevjah kisi se.........


Bevjah kisi se pyar ka izhaar nahi hota,

Milta hai jo saste mein vo pyaar nahi hota.

Maine to mahobbat mein guzare hain kai din,

Har roz magar husn ka deedar nahi hota.

Milta hai mujhse vo kabhi ajnabi ki tarah,

Aisa bhi kisi ka koi dildaar nahi hota,

Jo bhi mila hai ishq mein niyamat unhin ki hai.

Kismet pe kisi ka apne ikhtiyar nahi hota.

Ek baar hi hota hai dil ko kisi se pyar,

Karne se jo hota hai vo pyar nahi hota.

Muddat guzar gai hai tere intzaar mein,

Ab aa mere mehbub tera intzaar nahi hota.

Dass sohnya kis gal da.........


Dass sohnya kis gal da gurur ho gya.

Ya fir saathon hi koi kasur ho gya.

Kade janon vadh ke chahunda si meinu,

Ajj yaad karna vi namanzur ho gya.

Gham se bhara.......


Gham se bhara fasana hai,

Aaj ro ro tujhe sonana hai,

Teri yaadon ka ik samandar hai,

Doob k humko paar jana hai.

Aaj kuch yaad..........


Aaj kuch yaad kar raha hai dil,

Kisi
ki fariyaad kar raha dil,

Chupke se keh diya dhadkano ne ke,

Tujhe hi yaad kar raha hai dil.

Azmaish pyar main........


Azmaish pyar main zaruri hoti hai.

Na mil paana kisi ki majboori hoti hai.

Yaad door se dost ko kar to sakte hain,

Lekin dil ki hasarat to mulakat se hoti puri hai.

Chahne se har baat........


Chahne se har baat nahi hoti,

Thode se andhere se raat nahi hoti,

Jo pasand hai dusron se zyada,

Unse kambakht mulakat nahi hoti.

Har sagar ke...........


Har sagar ke do kinare hote hain,

Kuchh log jaan se bhi pyare hote hain,

Yeh zaruri nahin har koi pass ho,

Kyunki zindagi mein yaadon ke bhi sahaare hote hain.

Yuhi kabhi sapnon ko.........


Yun hi kabhi sapnon ko dil se lagaya karo,

Kisi ke khwabon mein aaya jaya karo,

Jab bhi jee ho ki koi tumhe bhi manaye,

Bas hume yaad karke rooth jaaya karo.