Showing posts with label Aadat Shayri. Show all posts
Showing posts with label Aadat Shayri. Show all posts

Sunday, March 8, 2009

Sabko dost banane ki adat..............


Sabko dost banane ki adat hai hame,

Apani alag pehchan banane ki adat hai hame,

Kitna bhi gehra zakaham de koi,

Utna hi zayada muskarane ki adat hai hume.

Jawani ko zindagi ka nikhar kehte hain ...


Jawani ko zindagi ka nikhar kehte hain.

Patjhad ko chaman ka mazdhar kehte hain.

Ajeeb chalan hai duniya ka yaaro,

Ek dhokha hai jise sab pyaar kehte hain.

Pyaar chhupta nahin chhupane se ....


Pooch lo tum bhi iss zamaane se,

Pyaar chhupta nahin chhupane se.

Paas aate ho chhute ho baat karte ho,

Kabhi matlab se kabhi bahane se.

Waqt rukta nahin kisi ke liye ....


Na Zindagi ke liye,

Na Dosti ke liye,

Waqt rukta nahin kisi ke liye.

Kadam do kadam to sabhi chalte hain,

Saath chalta nahin koi,

Zindagi bhar ke liye.

Nasha hai unki aankhon ka peene ka bahana karte hain ....


Nasha hai unki aankhon ka peene ka bahana karte hain.

Marne ki tamanna hai mujhko jeene ka bahnaa karte hain.

Chaayi hai khusi unke dil mein aur gam ka bahanaa karte hain.

Tera koi ghar hai na dar soch kar deewane mur jaate hain,

Rakhne ke liye dil mera aane ka bahanaa karte hain.

Saturday, March 7, 2009

Jab tanhai mein aapki yaad...........


Jab tanhai mein aapki yaad aati hai,

Hontho pe ek hi fariyad aati hai,

Khuda aapko har khushi de,

Kyonki aaj bhi hamari har khushi aapke baad aati hai.

Wednesday, March 4, 2009

Yeh peene ki aadat........


Yeh peene ki aadat yeh pilane ki aadat.

Pila ke madhosh kar jane ki aadat.

Koi unse ruthe bhi to kaise,

Unhe kahan hai manane ki aadat.

Sunday, January 21, 2007

Zindagi ki raahon mein....


Zindagi ki raahon mein insaan badal jata hai.


Waqt ki aandhi mein tufaan badal jata hai.


Sochti hun tumhein pareshan na karu,


Lekin baad mein iraada badal jata hai.

Thursday, January 11, 2007

Humein aadat thi....


Humein aadat thi bahut peene ki.


Par usne kasam dekar chhuda di.


Magar jab baitha yaaron ki mehfil mein,


Yaaron ne us ki kasam dekar pila di.