Thursday, March 12, 2009

Yahi wafa ka sila hai ....


Yahi wafa ka sila hai to koi baat nahin.

Yeh dard tumne diya hai to koi baat nahin.

Yeh fikar hai ke kahin tum bhi na saath chhod chalo,

Jahan ne chhod diya hai to koi baat nahin.

Tumhi ne Ayina-e-Dil mera banaya tha,

Tumhi ne tor diya hai to koi baat nahin.

Kiski majaal kahe koi mujh ko deewana,

Agar ye tumne kaha hai to koi baat nahin.

1 comment:

amanjot said...

wow very nice shayari