Sunday, March 1, 2009

Kitna pagal hai ye dil........


Kitna pagal hai ye dil,

Hwa mein tumhara paegaam dhoondta hai.

Is jagah mein tumhara nishaan dhoondta hai.

Aasman mein tumhara ye naam dhoondta hai.

Sitare magar batate nahin.

Nazare yahan ke manate nahin.

Jhonke kabhi kuch jatate nahin.

Ye ishare bhi dil ko samjhate nahin.

Virane mein tumahara ye saath dhoondta hai.

Kitna pagal hai ye dil,

Virane hain hamare tum hamare nahin.

No comments: