Saturday, November 1, 2008

Koi diwana kehta hai.......

Koi diwana kehta hai, koi pagal smjhta hai.

Magar dharti ki bechaini to bas baadal smjhta hai.

Mein tujhse dur kaise hun, tu mujhse dur kaise hai,
Yeh tera dil samjhta hai, ya mera dil smjhta hai.
Mahobbat ek aansu ki, pawan si kahaani hai,
Kabhi kabira diwana tha, to kabhi meera diwani hai.
Yahaan sab log kehte hain, meri aankhon mein aansu hain,
Jo tu smjhe to moti hai, jo na smjhe to pani hai.